Thursday 23 January 2014

Maharana Pratap  in jungle


*rana prtap k saath afgan k teer chalane wale 2000 pathan bhi the jo ladai shuru hone k 2 ghante baad maidan chod gaye the




*mewar ki or se rana pratap ki ek tukdi ki leadership ek saache musalman ne ki thi usko or uske pariwar ko maharana ne muglo se bachaya tha or mewer me panah di thi




*maharana pratap k bete amar singh ne akabar or muglo ki begumo ko malwa k pass se ek jung jeetne k baad kaid kr laye the …iska pata chalte rana ne un auroto ko samman sahit bhijwaya or 3 din vishit ahiti bana kar rakha is per amar singh ko kaafi samjhaya tha




*maharana prtap k saat mewar malwa or godwar k 100 se jayda thakur saat the




* ek waqt aisa bhi aaya tha jab rana pratap k bete amar chote the or jab wo gass ki roti kha rahe the tab ek billa amar singh k haat se wo gass ki roti le bhaga tha iss per geet bhi jo aaj bhi gaya jata hai “hare gass ki roti jad van bilado le bhagyo”




*aadwasi bheel samaj k log rana k maut k baad bhi unhe ghar ghar pujte rahe in kabilo ka sardar hamesha mewar k ranao ka saath deta aaya hai



*haldi ghati me itna khoon baha tha ki waha k nadiyo or jharno ka pani bhi laal ho gaya tha




or aant me sabi ko shukariya yaha tak padhne k liye

wo rana humare liye lada tha sirf or sirf apne desh k liye na rajput k liye na jat k liye na gurjar k liye na brahman k liye or na hi aapne Raj Sinhasan k liye…..

1 comment:

  1. हल्दी घाटी का युद्ध वास्तव में किसने जीता था जानने के लिए क्लिक करें दिए गए लिंक पर :- Battle Of Haldighati | #Eduemerald | History By Piyush Khatri Sir

    ReplyDelete